Ek bachpan ka zamana tha

Ek bachpan ka zamana tha,
jisme khushiyon ka khazana tha;
chahat chand ko paane ki thi,
par dil titli ka deewana tha.
Khabar na thi kuch subah ki,
na shaam ka thikana tha;
thak haarke aana school se, 
par khelne bhi jaana tha.
Maa ki kahani thi,
pariyon ka fasana tha;
barish mein kagaz ki naav thi, 
har mausam suhana tha.
Har khel mein saathi the,
har rishta nibhana tha;
gum ki zuban na hoti thi,
na zakhmon ka paimana tha.
Rone ki wajah na thi, 
na hansne ka bahana tha; 
kyon ho gaye hum itne bade, 
isse achha to woh bachpan ka zamana tha...

---Anonymus

No comments :

Post a Comment